Agar Jo Dil Ki Suno Gey Tu Haar Jao Gey,
Agar Jo Dil Ki Suno Gey Tu Haar Jao Gey,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kahan Paoo Gey….
Jaan Day Nay Ki Baat Tu Har Koi Karta Hai,
Zindagi Bananay Wala Kahan Say Laao Gey..
Jo Ek Nazar Dekho Gey Tum Humain,
Tu Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paao Gey..
Yaqeen Apni Mohabbat Par Itna Hai Mujhay,
Meri Chahat Ko Dekho Gey Tu Laut Aao Gey..
Meri Ankhoon Key Samandar Main Doob Gaye Agar,
Kahein Jana Bhi Chahoo Gey Tu Na Ja Paoo Gey..
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 10 times
Ek Tum Hi Say Hay Mansoob Khushi
Ek Tum Hi Say Hay Mansoob Khushi
Ek Tumharay Rooth Janay Say
Kissi Ko Kuch Nahi Hota
Phool Bhi Mehaktay Hain
Rang Bhi Damaktay Hain
Suraj Bhi Nikalta Hay
Taray Bhi Chamaktay Hain
Lakin Itna Zaroor Hota Hay
Ek Tumharay Rooth Janay Say
*Main Hansna Bhool Jata Hoon*
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 7 times
yadon ka ek jhonka aaya mujh say milne barson baad
yadon ka ek jhonka aaya mujh say milne barson baad
pehley itna roye na thay jitna roye milne ke baad,
rafta rafta ghar ujada hai mushkil se ahsaas hua
pathar aaye berson pehlay shishey tutay berson baad,
aaj hamare qabra per duniya rone dhone bathee hai
phool hue jaane kaisey itane sastay berson baad,
bhuul bhi jao kisne toda kaisay toda or kyo toda
dhond rahay ho kya galiyon me dil ke tukde berson baad,
dastak ki umeed lagaaye hum kya jeetay
kal ka waada kerne waalay milne aaye berson baad
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 9 times, 2 so far today
jo chla gya mujhe chor ker
jo chla gya mujhe chor ker
main kabhi na us ko bhula ska
wohi doorian, wohi faasle
main kabhi na in ko mita ska
kya usey b mujh se pyar tha
ya tabassum us ka shuar tha
wo koi ajeeb sawaal tha
jo meri samajh mein na aa ska
meri zindagi ka sukoon tha
wo mere dil ka ik junoon tha
wo meri bandagi mera pyar tha
yehi baat na main us ko bta ska
yehi sochta tha main raat bhr
jo kabhi miley ga wo raah per
to karun ga us se shikayatein
wo mila to lab b na hila ska
jo chla gya mujhe chor ker
main kabhi na usko bhula ska…..
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 44 times
Wada kero k mera mernay per aao gay
Or mjhay apnay hatho se dafnao gay
samnay duniya k aanso bhi bahao gay
wohi purana par duniy ko dikhao gay
umer bher meray naam se na ghabrao gay
or meray dil se apna gham bhi mitao gay
or bakhshish k liye haath bhi uthao gay
Tags: Wada
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 31 times
Ajab Din Thay Mohabbat K
* Ajab Din Thay Mohabbat K Ajab Mousam Thay Chahat K Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu Palkoon Pay Istaray Jhimilatay Hain... Kisi Ki yaad Main Jaagna Maamool Tha Apna.... Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu Hum Yeh Sooch Letey Thay..... Abhi Tu Humaray Wastay Rooya Nahin Ho Ga Abhi Sooya Nahin Ho Ga Abhi Hum Nahin Rootay Abhi Hum Nahin Sootay So Phir Hum Jagtay Aur Us Ko Yaad Kartay Thay Akelay Beth Kar Weeraan Dil Aabaad Kartay Thay Humaray Samnay Taaroon Ki Jhurmat Main Akela Chaand Hota Tha.... Jo Is K Husn K Aagay Buhat Hi Maand Hota Tha....... Falak Pay Raks Kartay Unginat Roshan Sitaaroon Ko Jo Hum Tarteeb Detey Thay Tu Us Ka Naam Banta Tha Hum Aglay Rooz Jab Miltay Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka Zikar Kartay Thay Har Ek Qissa Sunatay Thay........ Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan Say Dil Dharka Batatay Thay........ . Main Jab Kehta Keh "Jaana" Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal Nahin Sooya Tu WOh Khamoosh Rehti Thi Par Us Ki Neend Main Doobi Huey Do Jheel Si Aankhain Achanak Bool Uthti Theen....... ... Main Jab Us Ko Batata Tha Keh Main Nay Raat Roshan Sitaaroon Main Tumhara Naam Dekha Hai......... . Tu Woh Kehti Thi K Tum Jhoot Kehtay Ho........ Sitaaray Main Nay Dekhay Hain Aur In Roshan SItaaroon Main Tumhara Naam Likha Tha......... .. Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray Mil Hi Jayein Gain Magar Us Ko Khabar Kia Thi Kinaaray Mil Nahin Saktay Mohabbat Ki Kahani Main Mohabbat Karnay Walay K Sitaaray Mil Nahin Saktay...... ......*
- Posted by Qurat-ul-Ain
Viewed 40 times



